Log apna bana k chor detey hain,
Apno se rishta tod k ghairon se jod detey hain,
Ham toa ik phool na tod saktey,
Najaney log dil kaisey tod detey hain….
`
Is dil ke har dhadkan ka ehsaas ho tum.
Tum kya jaano hamare liye kitne khaas ho tum.
juda ho k tumne hame maut se bhi battar sazaa di hai,
Phir bhi is tadapte dil ne tumhe khush rehne ki duaaein di hai.
`
Aap ko pa ker ab khona nahi chahtay,
Itna khush ho k ab rona nahi chahtay,
Ye aalam hai hamara aap ki judai mein,
Aankho mein neend hai aur sona nahi chahtay..
`
Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,
apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
karte bayan to mehfil ko rula dete.
`
Ae nadan dil rotay nahi hai,
Kuch apnay ho k bhi pas hotay nahi hai,
Zara say fasly per udasi kaisi?
Dil ma basny wale kabhi door hotay nahi hai..
`
Mehkhane me jam tut jata he,
ishq me Dil tut jata he,
Na jane kya rishta hai in Dono me,
jam tute to ishq yaad Aata hai,
Dil tute to jam yaad Aata hai. . .
`
Aaj Q kisi ki yaad sone nahi deti
Is zamane ki bandish b rone nahi deti
Kesi kashish hai teri
Jo tujhe mera aur mujhe kisi aur ka h?ne nahi deti.
`
Jhuki nazron se ikrar mat krna,
Nazre utha kr inkar mat krna,
Raat bhar tarapte ho kisi ki yadon me,
Or dosron ko kehte ho kisi se pyar na krna??.!!
Like it on Facebook, Tweet it or share this topic on other bookmarking websites.
Please give English version for benefit of all members. This appears to be nice poem.

G. K. Ajmani Tax consultant
http://gkajmani-mystraythoughts.blogspot.com/

May I know the author of the poem?. Is it written by you,Ravi?
No this is not written by me.this is written by my friends..he told me that please Publish my poem on your site..(Boddunana)...
:woohoo: :woohoo:
It would have been better if you have published this poem in the article section on behalf of him. :) :)
Wow, it's really a very good one, i like this one

http://beautytipsforflawlessskin.blogspot.com/

You do not have permissions to reply to this topic.