Ek raat ki baat hai
Us raat tezz barish ho rhi thi ,mai apna chata liye apne ghar ki or ja rhi thi ………[mai chl rhi thi] chlte chlte mai achanak rukh gyi kyu ki muze aisa lga ki mere piche koi hai, maine piche mud kr dekha to ek kutte ka bcha mere pairo ke pass bhiga pda thand se kutkuta raha tha or shayad vo bhuka bhi tha. Mere pas kuch khana tha vo maine use khilaya or apne scarf se use dhka or mai use ghr le gyi. Mere ghr me mai akeli rehti thi. Maine us kutte ke bche ka naam Pipo rkha tha. Us raat ke eagle din mai office gyi us din muze salary mili thi to maine Pipo ke liye kuch khana or toys khride the. Jab maine Pipo ko vo toys diye to vo bahut khush hua or mere pas aake mere upar chadhne lga. Pipo or mai bahut ache dost bn gye the infact vo meri family bn gya tha. Ek din achanak Pipo ki tbiyaat khrab ho jati hai or vo humesha ki traha khelna khudna bnd kr deta hai, muze ye baat notice krne me kuch vkt lga tha. Jab muze pta chla ki Pipo bigad gya hai to turant use animal ke doctor ke pas le gyi. Doctor ne kaha Pipoko cancer hua hai vo bhi pichle 2 sal se. Pipo muze halhi me mila tha lekin mai use bahut attach ho gyi thi. Pipo ki medical history janne ke baad muze pta chla ki Pipo ki bimari Pipo ki mother se use lgi thi to shayad ye ho skta hai ki Pipo ki mother ki death cancer ki vjah se hue ho or esi vjah se Pipo akela us raat besahara bhatak raha ho. Ye soch kr mere aankho me aansu aa gye. Maine faisla kiya ki kuch bhi ho jaye mai Pipoko bcha ke hi rhungi. Doctor se maine Pipo ke elaj ke bare me baat ki, doctor ne kaha “agr tum Pipo ka elaj jaldi krwati to Pipo bach jaata lekin abhi Pipo ka cancer bahut badh gya hai, Pipo abhi kuch bhi ho jaye lekin bach nhi skta. ’’Mai mayus ho kr Pipo ko lekar hospital se bahar nikli. Mai Pipo ko leke ghar gyi. Pipo ki medicine chal rhi thi lekin Pipo jara bhi thik nhi hua tha.
Sunday ka din tha mere office ka holiday tha, mai kafi din baad Pipo ko park le jar hi thi. Mai or Pipo park gye Pipo jada to nhi lekin thoda acha feel kr raha tha. Mai park me bench pr baithi thi tbhi vaha ek insan mere pas aakr baitha vo Pipo ki taraf dekh kar muskura raha tha muze lga use dogs pasand hai. Maine unse pucha “kya apko doga pasand hai’’ usne kaha “ha mere ppas bhi dog tha lekin ab nhi hai’’ , maine pucha “aapka naam’’ usne kaha “Mr. omkar’’. Mr omkar ek writer the unki kahani bhi mere Pipo ki trah hi thi bss unhone unke dog ko pet shop se khrida tha or unke Pipo ki bimari bhi alag thi. Mr omkar ko maine apne Pipo ki kahani btayi.
Age ki kahani janne ke liye like or subscribe jrur kre
THANK YOU FOR READING